सोमवार, 9 नवंबर 2009

RAJBHASHA KI JARURAT

Bharat ek vikasshil desh hai agar viksit rashtro ke Rajbhasha ko dekhte hai to pata chalta hai ki jin desho ki Apni Rajbhasha hai wo desh aaj agrni desho mai ginti ki jati hai.harek viksit rashtro ki apni Rajbhasha unki karypranali mai adhiktam sudhar hua hai.
ek najar mai viksit Rashtra......
1.1815 mai jarmani swatrantra hua to bismark ne adesh diya ki sarkari kamkaj jarman bhasha mai hogi
2.1917 mai russa ki kranti ke uprant russi bhasha ko pratithit kiya gaya
3.ijrayal swatrantra hua to hibrubhasha ko turant lagu kiya gaya
4.china mai chinease bhasha ucchshiksha ke liya lagu hai
dhanybad

शुक्रवार, 6 नवंबर 2009

Rajbhasha Hindi ki sahjta

Rajbhasha Hindi ne Desh ke vibhiny pranto ki Boli avm Kshetriy bhasha ko khud mai angikar kiya
Sarvpratham asnatkottar (HINDI) ki Upadhi kalkata vishvvidyalay se di gayi ko G kshetra mai avsthit hai. Tagor avm Chaitnay jaise mahapursho ne Hindi ko saraha. Keral mai Thriruvinankur ke raja swati tirunal sri Ran varma avm Tanjaur ke molvanshiy shah ji mahraj ne hindi mai git rachna ki. vartman mai keral /karnatak/Andhrapradesh/Tamilnadu pranto karmchari/Narshe desh ke vibhinya pranto mai Hindi mai karya karte hai. Gujrat mai surdas aur Narsi mehat(He Ram...) ne hindi mai rachna ki hai. Maharashtra me sant Gyaneshwar/Namdev/Tukaram adi logo ne apni Rachna Hindi mai karne ko pradhna di. Punjab ke guruo ne khariboli,Mishrit brajbhasha mai apna prachar kiya. Odisa mai bhakti andolan se jurkar braj boli avm kabirpanthiyo ne hindi mai prachar prasar kiya.Asam ke shankardev adi santo ne hindi ko apni sanskritik prachar aur sahitya ka madhayam banaya.
Dhanyvad

RAJBHASHA HINDI KA VYAPAK RUP

14 SEPTEMBER 1949 mai Hindi ko Rajbhasha ke rup mai manyta mili. 1924 ke Rashtriya congress ke Belgaon Adhiveshan mai jiski Adhyakshata Ga ndhi ji ne kiya tha, Rashtriya star par Rajbhasha ke Rup me bahas isi Adhiveshan se chhiri.
Bhashashatri devid Kristal Apni pustak Language death me kahte hai ki bhasha ki mritu ur manushya ki mritu saman si ghatna hai, kyo ki dono ka astitva ek dusre ke bina sambhava nahi hai.
Bhasha ki mritu ka arth hota hai apne bite vakt se katna, apne itihas, darshan, sahity, chikitsa pranali aur dusri tamam samridh paramparao se vanchit ho jana.
RAJBHASHA HINDI KI VIRATTA BINDUWAR
1. Rashtriya ekta mai hindi ka vyapak yogdan
2.Prajatrantrik, Loktrantrik bhasha, Adhikansh Logo dwara Prayukt
3.Swatrantra sangram ki bhasha
4.Rajnaitik aazadi mili sampurn aazadi ke liye Hindi ka prayog jaruri
5.Rajbhasha, Rashtrabhasha avm samparkbhasha ke Rup mai
6.Samvidhan mai gaurabhpurn sthan, Anuchhed 343-351 mai smahit
Dhara 10(4)....Adhisuchana
Dhara8(4).....Hindi mai kary karne hetu vyktishah aadesh
Dhara3(3).....karya aadesh dwaibhashi Rup mai prakashit karna
7. Rajbhasha ka prayog vidhik avm naitik kartavy
8.Takniki/Medical/Computer avm vyapar mai bhi prayukt hoti Hindi
9.Nyaypalika/Vidhaipalika/Karypalika avm Press/Media dwara prayog mai layi ja rahi aam bhasha Hindi.
Dhanyvad