शुक्रवार, 6 नवंबर 2009

Rajbhasha Hindi ki sahjta

Rajbhasha Hindi ne Desh ke vibhiny pranto ki Boli avm Kshetriy bhasha ko khud mai angikar kiya
Sarvpratham asnatkottar (HINDI) ki Upadhi kalkata vishvvidyalay se di gayi ko G kshetra mai avsthit hai. Tagor avm Chaitnay jaise mahapursho ne Hindi ko saraha. Keral mai Thriruvinankur ke raja swati tirunal sri Ran varma avm Tanjaur ke molvanshiy shah ji mahraj ne hindi mai git rachna ki. vartman mai keral /karnatak/Andhrapradesh/Tamilnadu pranto karmchari/Narshe desh ke vibhinya pranto mai Hindi mai karya karte hai. Gujrat mai surdas aur Narsi mehat(He Ram...) ne hindi mai rachna ki hai. Maharashtra me sant Gyaneshwar/Namdev/Tukaram adi logo ne apni Rachna Hindi mai karne ko pradhna di. Punjab ke guruo ne khariboli,Mishrit brajbhasha mai apna prachar kiya. Odisa mai bhakti andolan se jurkar braj boli avm kabirpanthiyo ne hindi mai prachar prasar kiya.Asam ke shankardev adi santo ne hindi ko apni sanskritik prachar aur sahitya ka madhayam banaya.
Dhanyvad

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें